Dosto, Hoshiyar Raho!

Aaj kal pyramid schemes logon ko ullu banane mein lagi hui hain. Yeh log 100x, 1000x return ka jhoot bol kar aapki mehnat ki kamai loot rahe hain. Har naye bande ka paisa purane walon ko diya jata hai, jab tak naya shikar milta rahe. Phir ek din scam expose hota hai aur sab ka paisa doob jata hai.

Agar kisi scheme mein sirf naye log lane se paisa mil raha hai, samajh jao ke yeh ek dhoka hai! Binance ya kisi bhi real trading platform pe mehnat aur knowledge se paisa banta hai, na ke in jali schemes se.

Jo bhi tumhe keh raha hai ke "sirf paisa lagao, kuch karna nahi" ya "yeh guaranteed profit hai," samajh lo ke wo tumhe fasane aaya hai. Real trading aur investment mein risk hota hai, lekin yeh scams tumhara pura paisa kha jati hain.

Aaj kal log crypto aur NFTs ka naam le kar har tareeke se fraud kar rahe hain. kafi nam k NFT aur is jese fraud projects sirf naye logon ki bewakoofi ka faida uthate hain. Yeh log pehle influencers aur paid promoters se apna scam hype karwate hain, phir jab paisa andar ajata hai, platform band karke bhaag jate hain.

Samajhdar bano, har naye project pe andhon ki tarah trust mat karo. Research karo, project ke founders check karo, technology dekho, aur sabse zaroori baat - kisi bhi scheme mein bina samjhe paisa mat lagao. Apni mehnat ki kamai ko sirf asli aur legit investments mein lagao, na ke fraudsters ke jeb bharne ke liye.

#pakistarcrypto #IndiaCrypto #Binance

Disclaimer: Includes third-party opinions. No financial advice. May include sponsored content. See T&Cs.

45.9k

Views

63

Likes

4

Quotes

1

Shares

4 Replies

Most Relevant

Most Recent

Sanu Y0rb

#pakistanicrypto #IndiaCrypto #BinanceCrypto