Spot Trading Ke Liye Kuch Ahem Tips

Main ne jab crypto trading start ki toh mujhe bohot losses huay, lekin dheere dheere seekha ke spot trading kaise kaam karti hai. Agar aap bhi spot trading karna chahte hain, toh yeh kuch tips aapke kaam aa sakti hain:

1. Chhoti Investment Se Start Karein Shuru me zyada paisay invest na karein, pehle market ko samajhne ki koshish karein.

2. Market Trends Ko Dekhein Jab price neeche ho toh buy karein aur jab price upar jaye toh sell karein. FOMO (Fear of Missing Out) se bachein.

3. Stop-Loss Lagana Na Bhoolain – Yeh aapko bade loss se bacha sakta hai, hamesha ek limit set karein jahan aapko lagay ke yahan se nuksan zyada ho sakta hai.

4. Long-Term Soch Rakhein – Har chhoti movement pe panic na karein, agar coin acha hai toh usko hold karna bhi ek acha option ho sakta hai.

5. Research Zaroor Karein – Sirf logo ki baat sun kar trade na karein, khud analysis karna seekhein.

Main ne bhi pehle bina soche samjhe trading ki thi aur loss hua, lekin jab seekha ke patience aur strategy zaroori hai toh profit hona start hua. Trading ek learning process hai, is liye jaldi success ki umeed na karein.

$BTC $ETH