Online Investment Scam Pehchanne Ka Tareeqa – Scam Se Bachne Ka Aasan Formula?

Aaj kal online earning ka craze hai aur har doosra banda chhoti investment pe bada profit chah raha hai. Lekin yahan fraud bhi utna hi zyada ho raha hai! Aapko kaise pata chalega ke koi project scam hone wala hai? Chaliye jaan lete hain kuch important nishaniyan jo aapko fraud se bachne me madad dein gi.

1. High Returns in Short Time

Agar koi platform aapko keh raha hai ke “10$ invest karo aur 24 hours me 50$ kamao!” toh samajh lo ke ye red flag hai. Genuine investments time leti hain.

2. No Clear Business Model

Jis platform ka koi proper revenue source na ho aur sirf naye logon ke paison se purane investors ko payment di jaye, wo Ponzi scheme hoti hai.

3. Sudden Withdrawal Issues

Agar ekdum withdrawal slow ho jaye ya naye rules introduce ho jayein jisse aapka paisa fasa rahe, toh samajh jao ke scam shuru ho gaya hai.

4. Excessive Promotions & Fake Reviews

Agar kisi project ke sirf tareefein ho rahi hain aur har jagah fake positive reviews hoon, toh ye bhi ek scam sign ho sakta hai.

5. Website or App Disappear Hone Lage

Agar website bar bar maintenance me jaye, app kaam na kare, ya domain expire hone lage, toh scam near hai.

6. Pressure to Invest More

Agar aapse baar baar kaha jaye ke “jaldi invest karo, offer khatam hone wali hai” ya “VIP upgrade lo warna loss hoga”, toh ye bhi fraud ka indication hai.

Conclusion

Scam projects me jaldi paisa milta hai lekin zyada dair tak nahi. Akalmandi yehi hai ke sirf unhi platforms me invest karein jo legit aur long-term ho. Always do your own research!