#VoteToListOnBinance Pakistan me peer-to-peer (P2P) transactions ke dauraan sab se badi musibat bank accounts ka freeze hona hai. Ye masla zyadatar tab hota hai jab buyers aur verified merchants ke darmiyan verification requirements ko le kar misunderstandings hoti hain.
Bohot se Pakistani users irritate ho jate hain jab merchants unse additional verification maangte hain, jaise CNIC ki copy, selfies, videos, ya doosre documents. Unka kehna hota hai, "Jab maine pehle hi platform pe KYC complete kar li hai, to dobara verify kyun karna hai?" Kayi buyers is request ko apni honesty par shak samajhte hain, jo unnecessary disputes ka sabab banta hai.
Agar koi scammer ek fraudulent transaction karta hai aur uska bank account flag ho jata hai, to us se linked tamam accounts bhi investigation me aa sakte hain. Is wajah se innocent users ke accounts bhi block ho sakte hain. Isi wajah se merchants extra precautions lete hain, taake wo khud bhi safe rahain aur buyers bhi.
Ek aur bara masla impatience (be sabri) hai. Kayi buyers turant response expect karte hain, aur agar 10-15 minutes tak merchant reply na kare, to foran complaint ya dispute file kar dete hain. Buyers ye bhool jate hain ke merchants ek waqt me multiple transactions handle kar rahe hote hain.
Iske ilawa, merchant-specific terms and conditions ko na maana bhi musibat ka sabab banta hai. Jab buyers guidelines ko ignore karte hain, to disputes aur arguments hoti hain jo transaction ko aur mushkil bana deti hain. Merchants ye terms is liye set karte hain taake unka workflow smooth rahe aur har kisi ke liye process asaan ho.
Is Masly Ka Hal Kya Hai?
1. Impatience ko chhodiye aur cooperation ka izhar karein.
2. Transaction se pehle merchant ke terms and conditions dhyan se parhein.
3. Agar merchant additional verification maange, to cooperate karein. Ye transparency aur security ke liye zaroori hai.
4. Merchants ko response dene ka waqt dein aur foran dispute raise na karein.
Agar ye cheezen follow ki jayein, to account freeze hone ka risk kam ho sakta hai aur P2P transactions ka experience behtar ho sakta hai. subscribe for more info