Futures Trading Ne Paisay Dubo Diye – Aik Aur Nuksan! 💔
Maine aik kahani suni jo bohot afsosnaak thi. Pakistan ka aik naujawan sirf ek din mein $250-$300 Binance Futures par gava baitha!
Sabse bara sawal: Agar samajh nahi thi, toh invest kyun kiya?
Jawab bohot simple hai: Usay lalach di gayi thi! Haan, kisi apne hi mulk ke shakhs ne—jo ya toh signals bech raha tha ya phir paisay le kar guidance ka dawa kar raha tha. Lekin asal mein, usay sahi guidance mili hi nahi!
Sabse Bari Ghaltiyan:
❌ Bina knowledge ke Futures trading start karna.
❌ Kisi unknown bande par bharosa karna jo "easy profit" ka lalach de raha tha.
❌ Trading ko gambling samajhna aur bina risk management ke enter hona.
Mera Mashwara:
✔️ Trading karni hai? Pehle seekho! Futures ek high-risk game hai, jisme aik ghalti bhi account uda sakti hai.
✔️ Kisi par andha bharosa mat karo. Paid signals aur trading groups ka 90% sirf apna faida sochta hai.
✔️ Risk management zaroori hai. Har trade me stop-loss lagao aur sirf wohi paisay invest karo jo gaway ja sakain.
Bina knowledge ke trading ka nateeja sirf loss hota hai! Is liye hamesha pehle seekho, samjho aur phir soch samajh kar invest karo.