BlockBeats ke mutabiq, March 11 ko Bitcoin apne sabse neeche level par aa gaya hai jo November ke baad sabse low hai. Iska reason yeh hai ke America ke naye President Donald Trump ke tariffs aur government ke decisions ki wajah se economic uncertainty barh rahi hai.
Logon ko lag raha hai ke Trump ke tax aur trade policies U.S. economy ko slow kar sakti hain, is wajah se log cryptocurrencies jaise risk assets bech rahe hain aur safe options (jaise Treasury Bonds) ki taraf ja rahe hain. Is wajah se crypto market aur U.S. stock market gir raha hai.
B2C2 ke head Nikolay Karpenko ne kaha ke Trump ne jab crypto ke baare mein positive baat ki thi tab optimism aaya tha, lekin ab macroeconomic conditions kharab ho rahi hain aur log aggressively apni investments bech rahe hain, is wajah se market rebound nahi kar rahi.
#tariffstrump #Trump’sExecutiveOrder #BitcoinNews