Agar hum compare karein crypto market ko gold aur stocks se, to clearly lag raha hai ke crypto abhi peeche chal raha hai. Pichle mahine ki dump ne logon ka trust hila diya. Confidence kaafi logon ka break hua, lekin fundamental story abhi bhi wahi hai. Jo drop 10 October ko hui thi, wo mainly leverage traders ke flush hone ki wajah se thi. Spot holders ne panic nahi kiya kyunke crash raat ke waqt hua aur subha tak market recover kar chuki thi.
Ab jo surtehal chal rahi hai, wo nature me alag hai. Ye dafa leverage nahi, balki spot holders khud sell kar rahe hain. Log thak gaye hain market ke sideways moves se aur lagta hai ke price dobara neeche chali jayegi. Ye frustration natural hai, lekin structure abhi bhi intact hai. Jo traders long term vision rakhte hain, unke liye ye shakeout ka phase hai, end ka nahi.
Agar hum Bitcoin weekly chart dekhein to abhi tak koi weekly candle $107,000 ke neeche close nahi hui. Ye fact important hai, kyunke weekly structure tab tak safe hai jab tak $98,000 ke neeche close nahi hoti. Ye level abhi bhi major support zone ke taur pe stand kar raha hai. Agar price $100k ya $98k tak bhi dip kare, to bhi overall structure bullish hi rehta hai. Market me chop phase chal raha hai lekin macro trend change nahi hua.
Altcoins is dauran weak lag rahe hain, aur ye bhi normal pattern hai jab Bitcoin apna base banata hai. Usually liquidity pehle alts se nikal kar BTC me jati hai. Ye process boring lagta hai, lekin yehi point future rally ka foundation hota hai. Jab Bitcoin stable hota hai, tab hi altcoin season properly start hoti hai. Is waqt sabr aur observation hi best strategy hai.
Daily chart me situation thodi alag hai. Jab tak Bitcoin $116,000 ke upar daily close nahi deta, daily structure bearish hi rehega. Ye same point har update me discuss hua ke weekly bullish hai, daily bearish hai. Dono frames contradict nahi karte, sirf unka time horizon alag hai. $116k pe rejection expected tha, aur $112k reclaim karna zaruri tha lekin wo fail hua. Jab tak market $112k ke upar wapas nahi aata, daily pressure remain karega.
Abhi ke liye market directionless lag raha hai. Na clear uptrend hai, na full downtrend — sirf consolidation ka phase chal raha hai. Ye period mostly traders ke patience test karta hai. Jab tak Bitcoin $98k ke upar hai, panic ka reason nahi. Ye zone long term base build kar raha hai. Structural breakdown tab hoga jab weekly close $98k ke neeche aayegi, aur abhi tak aisa kuch nahi hua.
Market ka real problem price nahi, confidence hai. Log believe karna band kar dete hain jab market silent hoti hai. Yehi moment hota hai jahan accumulation quietly start hoti hai. Historically bhi aise hi phases ke baad strong rallies aati hain. Sentiment jab bilkul low hota hai, tab hi market slowly turn karna start karta hai.
Bottom line simple hai: Crypto dead nahi, bas tired hai. Ye dump panic nahi, ek reset hai. Jisne sabr rakha, wo agla breakout catch karega. Ye phase short term traders ke liye tough hai lekin long term holders ke liye opportunity. Calm raho, risk manage karo, aur market ko apna rhythm find karne do.
#BinanceLiveFutures #SolanaETFInflows #FOMCMeeting #MarketSentimentToday #LearnWithFatima $BTC
