Agar aap apna crypto Binance pe bas hold kar rahe ho bina Soft Staking ka use kiye — toh aap daily ke free rewards miss kar rahe ho.
Binance ka Soft Staking feature ek smart way hai jahan aap apne Spot Wallet ke tokens pe passive income kama sakte ho, bina tokens ko lock kiye.
Let’s break it down simple words mein 👇
🧠 Soft Staking Kya Hota Hai?
Binance Soft Staking ek aisa feature hai jahan aapke Spot Account me jo eligible tokens padhe hain, unpe aapko staking rewards milte hain.

Sabse badi baat?
Aapke tokens 100% flexible rahte hain — aap kabhi bhi unhe withdraw, trade ya use kar sakte ho.
Yeh traditional staking jaisa nahi hai jahan funds lock ho jaate hain. Yahan no lock-in, full control & daily rewards.
✅ Binance pe Soft Staking Kaise Start Karein?
Web Version:
Login karein apne Binance account me
[Earn] > [Simple Earn] > [Soft Staking] section me jaayein
[Activate] pe click karein, first time krna hota hai active.
Terms & Risk Warnings padhein aur [Start Earning] pe click karein
Bas aapko itna hi krna hai iske baad aap earning start ho jaegi.
Mobile App Me Kaise Active Kre Softstaking:
App open karein aur login karein
Home page pe [More] button tap karein
[Earn] > [Soft Staking] option select karein
[Activate] karein and then [Start Earning]
Ek baar activate hone ke baad, aapke sabhi eligible tokens automatically Soft Staking me enroll ho jaate hain.
💰 Soft Staking Se Kya Rewards Milte Hain?
Soft Staking ke rewards blockchain ke Proof of Stake (PoS) mechanism se aate hain — yani ki aapke tokens kisi network ko secure karne me use hote hain, jiske badle aapko daily rewards milte hain.
Rewards mostly us blockchain ke native token me milte hain
APR (Annual Percentage Rate) daily change ho sakta hai, depending on market/network
ye tokens abhi binance soft staking ke liye eligible hain.
📝 Eligible tokens aur unka estimated APR dekhne ke liye Binance ke Soft Staking page pe visit karein.
📊 Rewards Kaise Calculate Hote Hain?
Binance aapke eligible Spot Account tokens ka daily snapshot leta hai, aur us basis pe rewards calculate karta hai.
Formula:
Daily Rewards = (Soft Staked Amount × APR) ÷ 365
⏱️ Snapshot activation ke next day se start hota hai
🎁 First reward 2 din baad aapke Spot Wallet me credit hota hai
📆 Uske baad daily rewards between 00:00–08:00 UTC
Kabhi kabhi rewards me thoda delay ho sakta hai (due to system/network reasons), but mostly it's on time.
📈 Rewards Check Kahan Karein?
Aap apne:
Daily rewards
Current APR
History
...sab kuch Soft Staking page ya [Staking History > Soft Staking] section me dekh sakte ho.
🧩 FAQs – Zaroori Questions
❓ Kya main choose kar sakta hoon kaunsa token stake hoga?
Nahi. Soft Staking once activate karne ke baad sabhi eligible tokens auto-stake ho jaate hain.
❓ Agar koi token mera spot order me laga hai toh reward milega?
Nahi. Agar koi token kisi order me laga hai ya freeze hai, uspe rewards nahi milenge.
❓ Kya koi minimum ya maximum staking limit hoti hai?
Haan.
Har token ke liye ek minimum holding requirement hoti hai
Aur ek maximum eligible cap bhi hoti hai jiske upar ke tokens pe rewards nahi milte
Ye details Soft Staking page pe listed hoti hain.
❓ Kya koi fees lagti hai?
Bilkul bhi nahi. Soft Staking free hai — aap jitna APR show hota hai, utna hi reward daily Spot Account me aata hai.
🔄 Auto-Subscribe vs Soft Staking: Kya Difference Hai?

⚠️ Agar dono features on hain, toh Auto-Subscribe ko priority milegi.
🚫 Important: BNB & Rewards Compatibility
Agar aapka BNB Soft Staking me enrolled hai — toh aap:
Launchpool,
HODLer Airdrops,
Megadrop
...jaise programs ke rewards ke liye eligible nahi rahenge.
Plan accordingly 💡
Kya Soft Staking Worth Hai?
Agar aap long-term HODLer ho, ya kuch tokens simply Spot Wallet me padhe hain — toh Soft Staking is a no-brainer.
✔️ No lock
✔️ No fee
✔️ Daily passive income
✔️ Full flexibility
Aise hi crypto se kaam karwao, aur har din free me kamao 📈💸
aaj ke liye itna hi, bhai follow kar lena aise hi content ke liye. thanks.