$ASSALAMUALIKUM
Mene P2P transaction ke hawale se apna personal tajurba aur tamam bachao ki tadabeer yahan share ki hain. Ye cheezen specially beginners ke liye bohot zaroori hain, ek dafa zaroor parh len.
#USDT #CryptoSafety #P2PTrading #BinanceTips #CryptoForBeginners
🔹 Pakistan me abhi crypto regulate nahi hui he is liye main recommend karta ho ke frequent ya high-volume trades na karein.
🔹 Binance P2P par hamesha verified merchants ke sath trade karein. Unhi ko select karein jinke paas verified badge ho, completion rate 99% ya 100% ho aur feedback positive ho.
🔹 Ek sath zyada amount me buying ya selling na karein, kyunke merchants bhi fraud kar dete hain.
🔹 Jo bhi timing aap set karein, usi waqt payment kar ke seller ko notify karna lazmi he.
🔹 Agar buyer ya seller authentication mange to pehle verify hone ka wait karein. Jab tak verify na karein payment transfer na karein. Aur agar order ka time 2-3 minutes reh gaya ho to seller se keh kar time barhwa len, warna order cancel karke naya order karein.
📌 Jab bhi payment receive karen:
CNIC front/back ki picture zaroor lein.
Transaction ka screenshot aur mobile number save karein.
Hamesha usi name ka bank account use karein jo Binance account pe registered ho. Agar name match na kare to order cancel kar dein.
🔹 Bank reference hamesha neutral rakhein. Kabhi bhi “USDT” ya “Crypto” mention na karein. Sirf “Payment” jesa lafz likhen.
🔹 Behtareen ye he ke P2P transaction ke liye ek alag account use karein jo sirf isi kaam ke liye ho.
🔹 Agar Easypaisa ya JazzCash me payment karni ho to Raast ke through na bhejein, kyunke ek number per dono accounts linked ho sakte hain aur payment galat account me chali jati he. Hamesha account title confirm karein, chahe pehle bhi usi bande se trade ki ho.
🔹 Agar aapne payment kardi aur buyer/seller der kar raha ho to order cancel bilkul na karein. Patience rakhein.
Agar aap in tamam bato par amal karte hain to In shaa Allah loss ke chances bohot kam ho jate hain. Baqi sab naseeb ki baat hai.
JAZAKALLAH