Aaj hum ek aise topic par baat karenge jo crypto aur trading community mein hamesha debate ka point rehta hai — Futures Trading Halal hai ya Haram?

Main aapko Shariah ke points ke saath clear karunga, kuch hadith aur Quranic references ke zariye.

---

1️⃣ Hadith se Proof – Sunan Abi Dawud: Hadith 3503

Hakim ibn Hizam ne Nabi ﷺ se poocha: "Kya main aisi cheez bech sakta hoon jo mere paas maujood nahi?"

Nabi ﷺ ne farmaya: "Jo cheez tumhare paas nahi, use na becho."

Iska matlab hai ke jis waqt cheez aapke qabze mein na ho, us waqt bechna mana hai. Lekin dhyaan rahe — us waqt digital assets ka concept nahi tha. Futures trading mein aapke paas asset physically nahi hota, lekin agreement/contract hota hai, jo Shariah mein valid hai — bilkul dropshipping ki tarah, jahan product aapke paas physically nahi hota, lekin agreement hota hai.

---

2️⃣ Leverage aur Loan ka Masla

Surah Al-Baqarah, Ayat 282:

Quran ne loan ke liye clear hukm diya hai ke agreement likhit ho. Futures mein leverage lena ek agreement ke zariye hota hai, jisme interest (Riba) shamil nahi hota jab tak funding fees ko interest ki shakal na di jaye.

---

3️⃣ Funding Fees – Haram Ya Halal?

Funding fees ko aksar log galat samajhte hain. Ye asal mein service charges ki tarah hoti hain — bilkul bank ke transfer charges ki tarah. Iska interest se koi lena dena nahi. Haram wo hota hai jab paise udhaar liye jayein aur uspe interest charge ho.

---

✅ Conclusion:

Futures trading tab Halal ho sakti hai jab:

Transaction agreement ke zariye ho

Interest (Riba) shamil na ho

Trading pure speculation par na ho, balke calculated risk ho

Isliye, knowledge ke saath trading karein, apne risk ko manage karein, aur Shariah ke principles ka khayal rakhein.

#ETHBreaks4000 #CryptoIn401k #Notcoin #USFedNewChair #BuiltonSolayer