Hello everyone,
Yeh pehla shakhs nahi hai jiska account bank ne sirf is liye freeze kiya ke usne crypto payment receive ki. Har dafa ek hi narrative: “Security concern” ya “suspicious transaction” – lekin asal mein yeh unki apni insecurity ka saboot hai.
Jo system khud hollow ho, jahan na transparency ho na accountability, wahan sirf crypto ka naam sunte hi panic mode on kar diya jata hai. Yeh tactics sirf is liye hain ke aap ke zehan mein psychological fear inject kiya ja sake – taake aap independent financial systems se door rahen.
Sab ko chahiye ke wo proactive ho kar aise banks se apna paisa nikaalen jo aaj bhi 90s ke centralized control ka sapna dekh rahe hain. Crypto ko illegal declare karne wale khud unethical practices mein doobe hue hain.
Ab waqt aa gaya hai ke hum blindly trust karne ke bajaye facts dekhen, aur apni financial sovereignty reclaim karein.