By :SKAW786
> "Ek aisi scam jo har gareeb ke saath hoti hai...
lekin koi bolta nahi.
Kyun? Kyunki ya toh unka channel udh jaata hai,
ya banda khud gaayab ho jaata hai."
Sochiye zara...
Ek chor aapke ghar ghus jaaye, sab kuch loot le.
Aur fir bole:
> "Main tujhe career banana sikhaata hoon."
Reaction?
“Bhai tu chor hai, tu mujhe kaam sikhayega?”
Yahi toh ho raha hai.
Pehle jeb khaali ki jaati hai…
phir sikhaaya jaata hai kaise jeb bhari jaaye.
Suno dhyan se...
Jo baat aaj sun rahe ho, shaayad kal yeh baat dhoondhne pe bhi na mile.
---
The 4 Faces of Scam
---
1. FAKKI-FAROSH
(a.k.a. Course Sellers Scam Edition)
"Yeh meri car hai... ab mera course khareedo."
"Yeh penthouse mera hai... course lo aur ameer ban jao."
Har video ka sirf ek aim hota hai:
“BUY. MY. COURSE.”
Reality?
₹0 ka course record karwaake ₹5000 mein bechna.
Aur jisne banaya hota hai course,
wo ₹20k bhi nahi kama pata.
Skill sikhana?
Rarely.
Truth dikhana?
Never.
---
2. JADUGAR
(a.k.a. The Trading “Wizards”)
Charts ke saamne hath hilaake kehte hain:
“Yeh candle upar ja rahi hai... ab buy karo.”
Forex, binary, crypto ke naam pe jaadu chalate hain,
Dubai ke views aur rented cars dikhate hain.
5-minute trick ≠ Trading
Ye toh kabootar uday jaise tricks hain.
---
3. MADARI
(a.k.a. College Ke Natakbaaz)
Stage pe aake chillate hain:
"Main yeh tha, main woh hoon… now join my academy."
Aur ₹60,000 per month charge kar ke
“job dhundo” bol kar bhaga dete hain.
Motivate karte hain, trap banate hain —
fir students se paisa nikalvaate hain.
---
4. SEEDHE CHOR
(a.k.a. Fake App, Fake Earnings)
“Yeh app ne mujhe crore pati bana diya.”
“Dekho meri earnings!”
Shakal mein amiri ka naam-o-nishaan nahi,
lekin bolenge:
> "Main lakhon kama raha hoon."
Truth?
App bhi fake.
Earnings bhi fake.
Aur victims?
Wahi log jo sapne dekhte hain — aur loot liye jaate hain.
---
Innovation Kahaan Hai Bhai?
Duniya ke rich log education aur innovation pe invest karte hain.
Aur yahan?
Scammers naye-naye tareeqe dhoond rahe hain:
Rented car dikhana
Copy-paste course banana
Trading ka magician banna
Ye innovation nahi, ye scam-vation hai.
---
Sach Bolte Hain – To Chubhta Hai?
Agar aapko bura lagta hai…
Toh fakki bechna band karo.
Toh pehle skill seekho, phir sikhao.
Toh real trading samjho, phir dusron ko sikhao.
Aur agar bura nahi lagta…
toh at least fake guru wali acting band karo.
---
Aaj Kal Har Doosra Banda Trader Hai
> “Spot trading seekhi hai.”
“Future signals de raha hoon.”
“Telegram join karo.”
Yeh signal business nahi,
scam circus ban chuka hai.
Aur binary trading?
Itna gambling wala system hai ke
casino wale bhi sharma jaayein.
Ye trading nahi, modern jawari hai.
---
Free Mein Seekhna Hai? Toh Seekho!
Internet bhar gaya hai FREE tutorials se.
ChatGPT se poochho:
> “Mere paas ₹2000 hain, kya kar sakta hoon?”
“Editing kaise seekhun?”
YouTube pe search karo:
> “Coding kaise seekhte hain”
“Video editing tutorials”
Aur agar crypto related course karna hai —
toh Binance Academy join karo.
> Free hai. Real hai. Scam-free hai. 💯
Lekin problem kya hai?
> “Search karna nahi aata, lekin blame karna aata hai.”
---
FINAL PUNCH 🥊
Free ka value nahi,
Lekin chori karke paisa kamaane wale ki value hai?
Toh scamsters ke liye bas ek hi message hai:
> “Act karte raho puttar…
Lekin jab tak asli ameer na ban jao,
amiri ka natak mat karo.”
Aur haan...
> Agar kaam chhupi hui chori hai,
toh usse entrepreneurship mat bolo🙏
---
#TruthBomb #ScamAlert #CryptoReality #BinanceSquare #BinanceAcademy