🚨 Israel ne Iran par aur zyada shiddat se hamla kiya 👀

⚠️ Ahem Market Warning ⚠️

Dosto, abhi market mein entry lene se parhez karein.

Haalat bohot naazuk hain — jang ka khatra barh raha hai 🇮🇷 🇮🇱

Crypto abhi tak zyada react nahi kar raha, lekin agar koi buri khabar aayi to market mein zabardast girawat ho sakti hai.

Yaad rahe — hum ne pehle bhi weekends par heavy dumps dekhe hain.

Agar stock market ka pre-open red mein gaya, to crypto bhi aur tez crash karega.

Agar aap DCA (Dollar Cost Averaging) ka plan kar rahe hain, to dheere dheere karein.

Poora paisa ek sath mat lagayein.

Sabar se kaam lein — agar conflict barhta hai to sasti aur behtareen entry points zaroor milenge.

Abhi ka waqt paisa bachane ka hai, na ke bottom pakadne ka.

Apna khayal rakhein. Andha dhund investment se bachein.

#IsraelIranConflict