#TradingPairs101

Trading mein "pairs" ka matlab hota hai do currencies ke darmiyan lena-dena. Jaise BTC/USDT ka matlab hai ke aap Bitcoin ko USDT ke muqablay mein buy ya sell kar rahe ho.

Har trading pair mein pehla coin hota hai base currency, aur doosra hota hai quote currency. Agar BTC/USDT = 70,000 hai, to iska matlab hai 1 BTC ki qeemat 70,000 USDT hai.