Assalamualaikum doston!



Aaj main un logon ke liye likh raha hoon jo crypto mein naye hain, ya jo abhi abhi Binance use karna shuru kar rahe hain. Kyunki main khud bhi beginner tha, to yeh 5 galtiyaan maine ki thi — aur chahta hoon ke aap na karein.




❌ 1. Sirf “Pump” coins ke peechay bhaagna




Log Twitter ya YouTube dekh kar sirf un coins mein invest karte hain jo “pump” ho rahe hote hain.


✅ Solution: Hamesha coin ka project, use case, aur team dekho. DYOR (Do Your Own Research) zaroori hai.






❌ 2. Full capital ek hi coin mein daal dena




Ek hi coin mein sara paisa daal dena bohot risk hota hai.


✅ Solution: Apne paisay ko 3-4 alag alag coins mein split karo — diversification is safety.






❌ 3. FOMO (Fear of Missing Out)




Log sirf is dar se buy kar lete hain ke kahin price aur na barh jaye.


✅ Solution: Plan banao. Target price set karo aur patience rakho.






❌ 4. Binance ka har feature use nahi karna




Kai log sirf buy/sell tak limited rehte hain. Lekin Binance pe aur bhi features hain jaise Earn, Staking, Launchpad, Square etc.


✅ Solution: App ko explore karo. Learning se hi earning aati hai.






❌ 5. Secure wallet ka use na karna




Apna wallet secure na rakhna ya 2FA use na karna — yeh bohot badi galti hai.


✅ Solution: Google Authenticator ya Binance Authenticator ka use karo. Password strong rakho.





Agar aap bhi beginner hain, to in galtiyon se bachna seekhein.


Agar aapko yeh post helpful lagi, to like aur comment zaroor karein — aur apni galtiyan bhi share karein taake sab seekhein.



Shukriya 🙏


#CryptoTips #BinanceSquare #CryptoMistakes #BeginnerGuide


$BTC

$ETH

$XRP