1. "Trend ke sath chalo — market se larna nahi."

Agar market upar ja raha hai to buy karo, neeche ja raha hai to sell. Apni soch zyada mat lagao — trend ka respect karo.

2. "Stop loss lagana farz hai, choice nahi."

Loss control karna seekho. Stop loss lagao warna market aapka balance udha dega.

3. "Greed chor do — thoda profit bhi achha hota hai."

Har trade mein double triple profit ka sochna galat hai. Stable aur consistent raho.

4. "Har signal par trade mat karo — quality pe focus karo."

Zyada trades ka matlab zyada profit nahi hota. Sirf strong signals pe trade karo.

5. "Trading se pehle plan banao — baad mein regret na ho."

Entry, exit aur risk kitna lena hai — sab kuch pehle se decide karo. Andar jaake sochne wale loss mein rehte hain.

6. "Sabar rakho — jaldi paisa kamane wale jaldi girte hain."

Trading ek skill hai, jisme time lagta hai. Jaldi ameer banne ki soch se door raho.