Crypto Investing mein Risk Management Kya Hai?
Risk management ka matlab hai apne paisay is tareeqay se invest karna ke agar nuksan ho bhi jaye to aap kaafi loss se bach jao.
---
1. Sirf Utna Invest Karo jitna lose kar sako
Crypto mein price kabhi bhi zyada ya kam ho sakti hai. Is liye kabhi bhi apne total paisay ya qarz le kar invest mat karo.
---
2. Portfolio Diversify Karo
Apne tamam paisay sirf ek coin (jaise Bitcoin) mein mat daalo. Thoda thoda multiple coins mein invest karo taake risk kam ho.
Misal:
60% Bitcoin
20% Ethereum
10% Stablecoins
10% Altcoins
---
3. Stop-Loss ka Use Karo
Stop-loss aik auto setting hoti hai jo kisi coin ki price agar ek certain level se neeche chali jaye to aapki holding bech deta hai. Is se aap bade nuksan se bach saktay ho.
---
4. Long-Term Socho (HODL)
Agar aap daily trade nahi kar rahe to panic mein bechne ki zarurat nahi. Achi coins ko long-term hold karna ziada safe hota hai.
---
5. Scams se Bacho
Achi tarah research karo
"100% profit in 1 day" jese promises pe kabhi bharosa mat karo
Apne wallet ka private key kisi ko mat do
---
6. Market ka Trend Samjho
Har waqt market green nahi hoti. Kabhi kabhi bear market bhi hoti hai (jab prices neeche jati hain). Patience rakhna zaroori hai.
#GENIUSAct #BinanceAlphaAlert #EthereumSecurityInitiative #BinancePizza #CryptoForBeginners $BTC $ETH $XRP