Dayton, jo ke XRP case mein kaafi active rahe hain, unka kehna hai ke yeh bill non-controversial hai aur national interest mein hai. Agar yeh pass nahi hota to market structure, tax reform jaise bade crypto bills bhi ruk jaenge.
Senator Bill Hagerty ne bhi CNBC par kaha ke yeh bill America mein dollar-backed innovation ko support karega aur regulatory clarity laaye ga. Coinbase ke officer Friar Sherzad ne bhi kaha ke yeh ek national priority hai.
Lekin challenges abhi bhi hain. Kuch lawmakers centralized control chahte hain aur oppose kar rahe hain. Dayton ne yeh bhi kaha ke banks is bill se khush nahi honge kyunke yeh unke deposits se compete karega.
Agar yeh pass nahi hota to crypto ka future delay ho sakta hai — aur naye rules 2029 tak ruk sakte hain!