Aik naya scam Binance P2P users ko nishana bana raha hai. Agar aap crypto khareedte ya bechte hain, to yeh post zaroor parhein!
Scam ka tareeqa:
1. Fraudster aap se crypto khareedne ka order deta hai.
2. Wo aapko aik fake SMS ya email bhejta hai jo bank ki original notification jaisi lagti hai.
3. Aap crypto release kar dete hain, lekin paise kabhi transfer nahi kiye jaate ya baad mein wapas le liye jaate hain.
Natija: Na paisa bachta hai, na crypto.
---
Scammers ki chaalain:
Fake Accounts: Jhooti profiles aur fake reviews ke zariye aapka bharosa jeet-te hain.
Polite aur fast dealing: Jaldi deal karne ki koshish karte hain taake aap galti kar dein.
Off-platform chat: Binance ke bahar chat karne ke liye kehkar monitoring se bachne ki koshish karte hain.
---
Apni hifazat kaise karein – Important Tips:
1. Payment sirf apne bank app me check karein. SMS ya email par bharosa na karein.
2. Sirf verified users se deal karein. Blue badge ka dhyan rakhein.
3. Kabhi bhi Binance ke bahar chat na karein.
4. Crypto release karne se pehle payment confirm zaroor karein.
5. Agar kuch bhi shak ho – crypto release na karein. “Appeal” button use karein.
---
Aapka ek share kisi aur ko bacha sakta hai. Yeh post zaroor share karein!
#BinanceScam #P2PAlert #CryptoSafety #ScamAwarenes #StaySafeInTheCryptoWorld
-$SOL
--