"Kya Pakistan soya hua tha?" – Yeh sawaal nahi, sirf jahalat hai!
Kal raat kuch namard dushman ne andheray ka faida utha ke ek chalaki se hamla kia. Aur phir kuch log subah uth kar mobile haath mein le kar yeh poochhne lag gaye:
"Pakistan ne rok kyu nahi liya?"
Bhai, zara aqal se kaam lo!
Us waqt Pakistan ki airspace puri tarah se active thi – matlab kai international aur domestic flights hawa mein mojud thi. Ab socho, agar hum ne us waqt missile intercept kiya hota, aur ek bhi missile galti se kisi passenger plane se takra jata, to kya hota?
Hazaron logon ki jaan khatray mein pad sakti thi!
Yeh faislay battlefield mein hotay hain, drawing room ya Twitter space mein nahi.
Hamara dushman chalaki se aaya, lekin Pakistan ne turant action liya – hamla ke foran baad airspace band ki gayi, taake agla response full control mein ho.
Aur bhool gaye kya?
Iran ka ek civil plane apni hi missile se gir gaya tha – sirf aik judgment error ki wajah se. Natija? Dozens masoom log mar gaye.
To phir yeh samajh lo:
Hifazat sirf hathiyar se nahi, aqal aur sabr se bhi hoti hai.
Jo log har waqt sirf critic karte hain, unse ek sawaal:
Kya kabhi asli battlefield dekha hai? Ya sirf memes aur threads par hi jang larte ho?
Socho... samjho... aur moqa milay to fauj ke bharose ko appreciate bhi karo.