Meri Binance P2P Scam Ki Kahani:

Main ne kuch din pehle Binance P2P par USDT sell karne ka decide kiya. Aik buyer ne mujhe contact kiya aur payment method JazzCash select kiya. Sab kuch normal lag raha tha—buyer verified tha, aur uski rating bhi theek thi. Order place karne ke baad mujhe within 5 minutes aik JazzCash payment ka screenshot bheja gaya.

Payment ka screenshot original lag raha tha: amount sahi thi, time recent tha, aur sender ka naam bhi match karta tha. Main ne bhi jaldi mein confirmation kar di aur crypto release kar diya.

Lekin jab maine khud JazzCash app kholi, toh koi bhi transaction mujhe show nahi hui. Maine thoda wait kiya, socha shayad delay ho. 30 minutes guzarnay ke baad bhi jab koi paisa nahi aya, tab mujhe shak hua. Buyer se contact ki koshish ki, lekin usne mujhe block kar diya.

Mujhe tab samajh aya ke wo screenshot fake tha. Main ne immediately Binance support ko report kiya, lekin kyun ke main ne crypto release kar chuka tha bina actual payment receive kiye, Binance ne kaha ke kuch nahi ho sakta.

Yeh mere liye aik bohot bara lesson tha. Ab main sirf tab crypto release karta hoon jab paisay directly mere account mein reflect ho jayein, chahe screenshot kitna bhi real lagay.