*Binance ne HODLer Airdrops page par 17wa project announce kiya hai – StakeStone (STO)*

Yeh aik *decentralized Omnichain liquidity infrastructure protocol* hai jo liquidity ko hasil karne, distribute karne aur use karne ke tareeqon ko puri blockchain ecosystem mein badalne ke liye design kiya gaya hai.

Jin users ne apna *BNB Simple Earn (Flexible ya Locked)* aur/ya *On-Chain Yields products* mein 2025-04-27 00:00 (UTC) se le kar 2025-04-29 23:59 (UTC) tak subscribe kiya hai, unhe *airdrops milenge*. HODLer Airdrops ki tafseelat taqreeban 5 ghanton mein available hongi, aur *trading shuru hone se kam az kam 1 ghanta pehle* token users ke Spot Accounts mein transfer kar diya jayega.

*Binance 2025-05-02 ko 16:00 (UTC)* par STO ko list karega aur trading kholega *USDT, USDC, BNB, FDUSD, aur TRY* pairs ke sath. STO par *Seed Tag* bhi lagaya jayega.

Users 2 ghantay ke andar *STO deposit karna start kar sakte hain* taake wo trading ke liye tayar ho sakein.

⚠️ *Note karein ke STO ko abhi Binance Alpha Market par trade kiya ja sakta hai, lekin jab spot trading start hogi, to phir ye Alpha par show nahi hoga.*

*📌 STO HODLer Airdrops Ki Tafseelat:*

- *Token Name:* StakeStone (STO)

- *Genesis Total Supply:* 1,000,000,000 STO

- *Max Token Supply:* 1,000,000,000 STO

- *Airdrops Token Rewards:* 15,000,000 STO (1.5% of max supply)

- Mazeed 15,000,000 STO marketing campaigns ke liye allocate honge (batches mein), 3 mahinay baad.

- *Listing ke waqt Circulating Supply:* 225,333,333 STO (22.53% of max supply)