$VIRTUAL $VIRTUAL
VIRTUAL/USDT —Massive Move Ke Baad Ab Kya Karein?
Price $1.4281 tak pohanch chuka hai, jo ke 24h ka almost top zone hai. 24h me already 32% ka zabardast pump de chuka hai, aur short-term me thodi profit booking ki possibilities barh rahi hain.
Current movement strong hai, lekin price thoda overheat ho gaya hai. Direct fresh buy karna risky ho sakta hai. Best strategy yeh hai ke dheere dheere 3 jagah par buying ki planning rakhein:
Pehla buy $1.38 ke aas paas halka dip aane par
Doosra buy $1.32 ke kareeb stronger retracement zone
Teesra aur final buy $1.26 ke aas paas deep correction ka safety zone
Agar yeh 3 buying zones complete ho jaate hain to average buying kaafi secure ban jayegi.
Targets:
Bounce milne par pehla target $1.50 rahega aur doosra bada target $1.60 tak extend ho sakta hai.
Agar sell-off aaya:
Agar price $1.26 se neeche close karta hai to Spot traders ko kam se kam 7-10 din ka wait karna padega dubara $1.35-$1.40 ke recovery zone me wapas aane ke liye.
Pro Tip
Agar $1.38-$1.32 zone me price control dikhaata hai aur volume spike karta hai, to future me light leverage ke saath long position open ki ja sakti hai 🎯 Lekin hamesha stop loss thoda safe side pe lagana, takay agar volatility aaye to risk kam ho 🚀