#BTCvsMarkets $BTC
Bitcoin ab traditional markets se alag direction mein ja raha hai. Pichlay mahine S&P 500 mein 3% ki girawat dekhi gayi, jabke Bitcoin ne 12% ka munafa hasil kiya. Yeh divergence is baat ka signal hai ke investors Bitcoin ko ek alag asset class ke tor par lena shuru kar rahe hain. Bitcoin ETFs ne ab takreeban 5% circulating supply hold kar li hai, jo market mein selling pressure ko kam karta hai. Saath hi, U.S. ka qarza $35 trillion se barh chuka hai, jis wajah se Bitcoin ka "digital gold" narrative mazid taqatwar hota ja raha hai. Agar Federal Reserve rate cuts karta hai, to yeh gap aur zyada barh sakta hai.