đ¨ Kaisay Mein Apna Crypto Binance P2P Par khone se reh gai â Aur Aap bh Bach Saktay Hain
Last night mein bohat tight situation mein thi â fees pay krni thi, toh thoda USDT Binance P2P par sell karna ka socha. Ek buyer ne foran message kiya, profile saaf lag rahi thi.
Usne kaha, âPayment kar di hai, please release kar do, mujhe jaldi hai.â đ°
Mein ne apni bank app check ki â koi alert nahi aaya. Lekin usne aik fake payment ka screenshot bhej diya.
Mein release karne hi wali thi..
Lekin kuch ajeeb laga.
Dubara profile dekhi:
đŤ Verified badge nahi tha
đ Sirf 6 trades kiye hue thay
â Koi achi reviews nahi thi
âąď¸ Last seen: 1 din pehle
Mein ne 5 minute aur wait kiya â payment nahi aayi. Phir woh mujh par pressure daalna laga, aur mujhe scammer kehne laga.
Tab samajh aaya: Scam toh mere saath ho raha tha. đ
đĄď¸ Jo Cheez Ne Mujhe Bachaya:
Hamesha aise users se deal karo jo:
â
Verified badge wale hoon
â 95% ya us se zyada success rate ho
đ 100+ trades kiye hoon
đŹ Achay aur genuine feedback hoon
Aur sabse important baat:
Crypto tab tak release mat karo jab tak paisay waqai tumhari bank account mein na ajayein. Screenshot kisi kaam ka nahi hota.
đ Us din mein sab kuch khone wali thi
Chalo sab mil ke safe trading karein
#TradingPschology #StopLossStrategies