🚀 P2P Trading – Simple Safety Tips
1. Pakistan & Crypto
Crypto abhi Pakistan me legal/regulate nahi hai. Is liye high volume ya bar-bar trading se bachiye.
2. Always Use Verified Merchants
Binance P2P par sirf verified badge wale merchants choose karein.
Completion rate 99%+ aur good feedback ho.
Ek hi merchant se zyada bara amount ek sath na buy karein.
3. Timing
Payment hamesha time ke andar karein. Agar time kam ho to seller se extra time mang lein, warna order cancel karke naya banayein.
4. Safety Checks
Seller ka CNIC copy aur transaction screenshot save karein.
Sirf apne registered bank account se payment karein.
5. Bank Reference
Payment reference me “Crypto” ya “USDT” na likhein. Sirf “Payment” likhna safe hai.
Agar ho sake to ek alag bank account sirf P2P ke liye banwa lein.
6. Easypaisa/JazzCash
Amount bhejne se pehle account title zaroor confirm karein.
7. Patience
Payment ke baad delay ho to panic na karein. Order cancel na karein, wait karein.
✅ Final Advice
In tips par amal karenge to scam ka chance bohot kam ho jaayega. Baaki risk naseeb ka hissa hai.
#BNBATH880 #USDT #CryptoPatience #P2P #market_tips $USDC $BTC $BNB Work with patience 😄