🇺🇸 U.S. STOCKS TOH PUMP KAR RAHE HAIN, LEKIN $BTC KYUN DUMP HO RAHA HAI? 🤔
Chalo simple words mein samjhata hoon:
1️⃣ Bitcoin ki price pe 4hr chart par Bearish RSI Divergence ban rahi hai, aur wo correction ka wait kar raha hai — pichlay week mein BTC already 10% jump kar chuka hai 📉
2️⃣ Last month jab Tariff ka fear high tha, Bitcoin ne Equity ke muqablay mein achha return diya. Gold aur BTC dono uncertainty ke dauran jump hue the ⚖️
3️⃣ Aaj jab US-China trade deal announce hui, Stock Market 4% upar chala gaya (jo pichlay week flat tha), lekin Bitcoin drop kar gaya kyun ke usne pehle hi US-China deal rally ko front-run kar liya tha 🚀➡️📉
Yeh sab intraday volatility hai. Market har factor ko adjust karta hai.
Lambi race mein, US Index ka jump Bitcoin ke liye bullish hoga ✅
$100k aur $93k BTC ke liye strong support zones hain — bounce jaldi aayega! 🔥